eevan Main Ek Sitara Tha
Maana Vah Behad Pyara Tha
Vah Doob Gaya To Doob Gaya
Ambar Kay Aanan Ko Dekho
Kitne Iskay Taare Toote
Kitne Iskay Pyare Choote
Jo Choot Gaye Fir Kahan Mile
Par Bolo Toote Taaron Par
Kab Ambar Shok Manata Hai
Jo Beet Gayi So Baat Gayi
Jeevan Main Vah Tha Ek Kusum
They Us Par Nitya Nichavar Tum
Vah Sookh Gaya TO Sookh Gaya
Madhuvan Ki Chaati Ko Dekho
Sookhi Kitni Iski Kaliyan
Murjhaayi Kitni ballriyan
Jo Murjhayi Woh Fir Kahan Khili
Par Bolo Sookhe Phoolon Par
Kab Madhuban Shor Machata hai
Jo Beet Gayi So Bat Gayi
jeevan Main Madhu Ka Pyala Tha
Tumnay Tan Man De Daala Tha
Wah Toot Gaya To Toot Gaya
Madiralya Kay Aangan Ko Dekho
Kitne Pyale Hil Jaate Hain
Gir Mitti Main Mil Jaate Hain
Jo Girte Hain Kab Uthte Hain
Par Bolo Toote Pyalo Par
Kab Madiralaya Pachtata Hai
Jo Beet Gayi So Baat Gayi
Mridu Mitti Kay Hain Bane Hue
Madhu Ghoot Phoota Hi Kartay Hain
Laghu Jeevan Lekar Aaye Hain
Pyale Toota Hi Karte Hain
Fir Bhi Madiralaya Kay Andar
Madhu Kay Ghat Hai Madhu Pyale Hain
Jo Madakta Kay Maare Hain
Vey Madhu Loota Hi Kartay Hain
Va Kachcha Peene Wala Hai
Jiski Mamta Ghat Pyalon Par
Jo Sachchey Madhu Sey Jala Hua
Kab Rota Hai Chillata Hai
Jo Beet Gayi So Baat Gayi
-Harivansh Rai Bachchan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment